mujhe khabar thi mera intizar ghar mein raha ye hadisa tha ki main umr bhar safar mein raha main raqs karta raha sari umr wahshat mein hazar halqa-e-zanjir baam-o-dar mein raha tere firaq ki qimat hamare pas na thi tere visal ka sauda hamare sar mein raha ye aag sath na hoti to rakh ho jate ajib rang tere nam se hunar mein raha ab ek wadi-e-nisyan mein chhupta jata hai wo ek saya ki yaadon ki rahguzar mein raha