tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna mere andheron ki fikr chhodo bas apne ghar ka khayal rakhna ujad mausam mein ret-dharti pe fasl boi thi chandni ki ab us mein ugne lage andhere to kaisa ji mein malal rakhna dayar-e-ulfat mein ajnabi ko safar hai dar-pesh zulmaton ka kahin wo rahon mein kho na jae zara daricha ujal rakhna bichhadne wale ne waqt-e-rukhsat kuchh is nazar se palat ke dekha ki jaise wo bhi ye kah raha ho tum apne ghar ka khayal rakhna ye dhup chhanw ka khel hai ya khizan bahaaron ki ghat mein hai nasib subh-e-uruj ho to nazar mein sham-e-zawal rakhna kise khabar hai ki kab ye mausam uda ke rakh dega khak 'azar' tum ehtiyatan zamin ke sar par falak ki chadar hi dal rakhna