aisi bhi kya udi hai khabar dekh kar mujhe sab pherne lage hain nazar dekh kar mujhe kyon chhut nahin raha hai siyah-raat ka dhuan kyon munh chhupa rahi hai sahar dekh kar mujhe donon hi ro pade hain sar-e-mausam-e-khizan main dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe manus ho chuka hai meri aahaton se ghar khul ja rahe hain aap hi dar dekh kar mujhe yun to hazar ranj the shikwe gile bhi the kuchh bhi na kah saka wo magar dekh kar mujhe