tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki khabar lo saunpa hai agar dard to darman ki khabar lo hanste ho abas haal-e-pareshan pe hamare apni to zara zulf-e-pareshan ki khabar lo yun aur mujhe khalq mein bad-nam karoge bas hosh sambhaalo bhi gareban ki khabar lo kis kaam ye aaegi masihai tumhaari ehsan karo aashiq-e-be-jaan ki khabar lo phaile hue surme ko to rumal se puchho kya waza hai ye nargis-e-fatan ki khabar lo kahta hai yahi tum se 'shuur'-e-jigar-afgar saunpa hai agar dard to darman ki khabar lo