tum bhatak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega mukhtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega main khala mein dekhta rahta hun is ummid par ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega ye makan girta hua jab chhod jaenge makin ek parinda baithne diwar par aa jaega koi meri mukhbiri karta rahega aur phir jurm ki taftish karne be-khabar aa jaega ho gaya mitti agar mera pasina sukh kar dekhna mere darakhton par samar aa jaega bandagi mein ishq si diwangi paida karo ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega