tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijran bhi nahin

tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijran bhi nahin
jaan dene ka kuchh aisa mujhe arman bhi nahin

dekhta hai ki koi baat ka pursan bhi nahin
tere bimar ko ab khwahish-e-darman bhi nahin

meri wahshat ke asar se tha zamana viran
main bayaban mein nahin hun to bayaban bhi nahin

bais-e-qatl hua haal-e-zabun-e-bismil
ye agar sach hai to phir aap ka ehsan bhi nahin

mera marna bhi hai mauquf iradon pe tere
jis ko aasan samajhta hun wo aasan bhi nahin

tere paikan-e-sitam ka hua maqsad hasil
zakhm dil mein hai mere aur numayan bhi nahin

ham-nawa soch mein hain bagh hai suna suna
main qafas mein hun to wo rang-e-gulistan bhi nahin

dil-e-gum-gashta se milne ki tamanna hai 'shamim'
ye wo khwahish hai ki jis ka koi imkan bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close