tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai shakh-e-gul khoi hui murgh-e-khush-ilhan chup hai ufuq-e-dil pe dikhai nahin deti hai dhanak gham-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaran chup hai aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaran mat puchh mai-kada dur hai mina-e-zar-e-afshan chup hai aur aage na badha qissa-e-dil qissa-e-gham dhadkanen chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgan chup hai shahr mein ek qayamat thi qayamat na rahi hashr khamosh hua fitna-e-dauran chup hai na kisi aah ki aawaz na zanjir ka shor aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai