baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke aankhon mein hain tulu-o-ghurub aaftab ke pite hain surkh-o-zard pyale sharab ke kya kya hain auj-o-past mein rang aaftab ke barson se dhundhta hai mazamin sharab ke gardun ulat raha hai waraq aaftab ke saqi undel jam subuhi subu ki khair mushtaq kab se hain lab-e-shab aaftab ke utthe wo dud-e-dil ki falak ho gaya siyah gul ho gae charagh mah-o-aftab ke likkhun jo un ke chehra-e-raushan ka wasf main paida karun zaban-o-dahan aaftab ke dho de sharab se mere angur zakhm ko ta-jalwe bakhshen zakhm-e-kuhan aaftab ke kho dega dud-e-ah falak ki barahnagi dalegi sham munh pe naqab aaftab ke khali kahan falak sitam-e-rozgar se rakhta hai dil pe dagh mah-o-aftab ke jaane to do falak pe mere nala-e-junun purze udaenge waraq-e-aftab ke ai charkh-e-pir dekh lin athkheliyan teri yaad aa gae hamein bhi zamane shabab ke pai hai main ne zakhm se talim-e-khamushi goya lab-e-sukut dahan hain jawab ke marhum-e-arzu hain sada-e-shikast mein rah rah gae hain bhar ke phaphole habab ke kis eatibar mein nafas-e-chand ai 'nasim' shab har ke waste ye tamashe hain khwab ke