tum hamare dil-e-shaida ko nahin jaante kya aur ghairon ki tamanna ko nahin jaante kya kahin hota bhi hai jaan-bakhsh lab-e-ahd-shikan tere is jhute masiha ko nahin jaante kya pahle dil tham lo phir aaina tum hath mein lo apne husn-e-rukh-e-zeba ko nahin jaante kya kar na den us ko mukaddar kahin aah-e-'bekhud' aap us aaina-sima ko nahin jaante kya