hawas ki aankh sin wo chehra-e-raushan na dekhoge to chehra to kahan pan-gosha-e-daman na dekhoge chhupate ho so beja us jamal-e-hairat-afza kun meri aankhon sin dekhoge to phir darpan na dekhoge agar us khush-dahan ke lab pe dekho rang missi ka to phir zinhaar barg-e-ghuncha-e-sosan na dekhoge agar dekhoge aks us khat ka meri chashm-e-giryan mein lab-e-ju par bahaar-e-sabza-e-gulshan na dekhoge 'siraj' apne sin kyun wiswas hai ai shama-ru tum kun kisi aashiq kun tum mashuq ka dushman na dekhoge