tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

tum harim-e-naz mein baithe ho begane bane
justuju mein ahl-e-dil phirte hain diwane bane

sab ko saqi ne nahin bakhsha dil-e-dard-ashna
jitne ahl-e-zarf the utne hi paimane bane

jalwa-e-husn aur soz-e-ishq donon ek hain
shama ki lau thartharane hi se parwane bane

mauj-e-tufan-khez uth kar chhin le sahil ki aas
nakhuda ke aate aate kya khuda jaane bane

dam-ba-khud hai tere aage e'tibar-e-aql-o-hosh
hosh wale jab badhe had se to diwane bane

dekh le zahid meri raushan-zamiri ki numud
ek aaine se kitne aaina-khane bane

ai 'figar' afsana-e-dair-o-haram ka zikr kya
is haqiqat ke na jaane kitne afsane bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close