idhar bhi aaen kabhi dhup ke satae hue shajar khade hain sar-e-rah sar jhukae hue kuchh aur baat karo gardish-e-jahan ke siwa na waqiat sunao sune-sunae hue zamin pe dher kiye dopahar ke suraj ne tamam phul shab-e-mah ke khilae hue dhuan dhuan hain wo chehre bhi ab na jaane kyun mere liye the kabhi jin pe rang aae hue kuchh aur ho ki na ho zad-e-rah manzil-e-shab sahar ke khwab to aankhon mein hain sajae hue khuli faza se koi wasta na tha jab tak hum apne-ap mein khud ko rahe chhupae hue hawa ki zad pe jab aae to bujh gae 'khawar' wo sab charagh jo mere na the jalae hue