tum ho masih-e-dard to bimar kaun hai zulmat-kade mein matla-e-anwar kaun hai nazren jhukae baitha hai kis ke khayal mein uth kar to dekhiye pas-e-diwar kaun hai jis ne khayal-o-fikr ka lahja badal diya har fan ke aaine mein wo fankar kaun hai wo be-naqab ho to ye hum faisla karen kis par nasha sawar hai hushiyar kaun hai yusuf to bikne aa gae bazar-e-ishq mein ab dekhna ye hai ki kharidar kaun hai kahne ko yun to haq ke talabgar hain bahut haq par nisar hone ko tayyar kaun hai