khud apni kawishon se aab-o-dana dhund lete hain parinde apne rahne ka thikana dhund lete hain hatheli par liye phirte hain jo jaan-e-aziz apni samundar ki tahon mein bhi khazana dhund lete hain dilon mein jin ke milne ki tamanna jag uthti hai wo barson baad bhi rishta purana dhund lete hain hunar aata hai jin ko dushmanon se bach nikalne ka wo hans kar chaal koi shatirana dhund lete hain bacha kar rakhna hai hum ko yaqin-o-e'timad un ka koi qissa naya koi fasana dhund lete hain unhen aate hain gar wada-khilafi ke hunar 'qaisar' to achchha sa koi hum bhi bahana dhund lete hain