tum jis ko dhundte ho ye mahfil nahin hai wo logon ke is hujum mein shamil nahin hai wo raston ke pech-o-kham ne kahin aur la diya jaana hamein jahan tha ye manzil nahin hai wo dariya ke rukh ko mod ke aae to ye khula sahil ke rang aur hain sahil nahin hai wo duniya mein bhag-daud ka hasil yahi to hai hasil har ek chiz hai hasil nahin hai wo 'alam' dil-e-asir ko samjhaun kis tarah kam-bakht e'tibar ke qabil nahin hai wo