tum khwab mein aaoge ye malum nahin tha phir khwab dikhaoge ye malum nahin tha tum kabe ko dhaoge ye malum nahin tha dil tod ke jaoge ye malum nahin tha jis khat mein tanke the mere ashkon ke sitare wo khat bhi jalaoge ye malum nahin tha kuchh aks mere aaina-khane se chura kar mujh ko hi dikhaoge ye malum nahin tha qad mera ghataoge mujhe is ki khabar thi sae ko badhaoge ye malum nahin tha ye to mujhe malum tha tum jaoge lekin is tarah se jaoge ye malum nahin tha ek lamhe ki aawara-nigahi ke sahaare dil mein utar aaoge ye malum nahin tha tum holi bhi kheloge mere dil ke lahu se daman bhi bachaoge ye malum nahin tha hairat mein hain ahbab ki is umr mein qaisar yun dhum machaoge ye malum nahin tha