koi nahin jo halka kar de bar-e-safar mujh tanha ka dosh pe hai imroz ka bojh aur sar par qarz hai farda ka aandhi aae to andesha tufan utthe to tashwish ek taraf se sahra ka qurb ek taraf se dariya ka kin zakhmon ke tanke tute kin daghon ke band khule khun hai rangat sham-o-sahar ki aag hai mausam duniya ka kuche ke khamosh gharon ki raat se kitna ghafil hai aakhir mah ye shor-e-shabana yaran-e-be-parwa ka pesh-rawon ko is darje par aur bhi kuchh inam mile sang-e-malamat kam hi sila hai mere dimagh-e-sauda ka hum ko hamari mahrumi ki qimat milti rahti hai dil mein hamare badh jata hai roz ek zakhm tamanna ka