tum kisi taur kisi shakl nahin kar sakte is zamin se mujhe be-dakhl nahin kar sakte thik hai aap meri jaan to le sakte hain meri aawaz magar qatl nahin kar sakte tujh ko nuqsan to pahunchana bahut dur ki baat teri taswir ko bad-shakl nahin kar sakte sher kahne ka saliqa hai bahut baad ki baat thik se hum to abhi naql nahin kar sakte aise haalat mein hum dil ko talab karte hain faisla rakh ke jahan aql nahin kar sakte