tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum hain ishq gharane ke zamane ke nahin hum hum aur mohabbat ke siwa kuchh nahin karte wo ruth gaya hai to manane ke nahin hum dariya hai mohabbat to mile jism ka maidan ek jism pyale mein samane ke nahin hum hum par bhi kabhi apni halakat ki nazar dal sach jaan ki jaan apni bachane ke nahin hum kitna hi kare shor yahan aa ke zamana tujh par se magar dhyan hatane ke nahin hum ye jism faqat ek taraf ka hai musafir ja kar phir usi jism mein aane ke nahin hum pas aao ki hum kha to nahin jaenge tum ko bas dant dikhane ke hain khane ke nahin hum 'ehsas'-miyan pir hain murshid hain hamare ab uth ke yahan se kahin jaane ke nahin hum