zid hamari dua se hoti hai hum se kya ab khuda se hoti hai nama-bar jaega hawa se tez shart baad-e-saba se hoti hai na jafa se hai mere dil ko qarar na tasalli wafa se hoti hai sine se jab udati hai aanchal khul ke baad-e-saba se hoti hai naza mein un se pher len aankhen chaar aankh ab qaza se hoti hai sach to ye hai ki ranj-o-gham se najat baada-e-jaan-faza se hoti hai chaaragar ab dua ko hath uthaen ki aziyyat dawa se hoti hai donon pis pis ke rang late hain chhed dil se hina se hoti hai ai junun nok-jhonk ka hai maza khar se naqsh-e-pa se hoti hai but ulajhte hain roz mujh se 'riyaz' roz mujh ba-khuda se hoti hai