tum lakh chahe meri aafat mein jaan rakhna par apne waste bhi kuchh imtihan rakhna wo shakhs kaam ka hai do aib bhi hain us mein ek sar uthana duja munh mein zaban rakhna pagli si ek ladki se shahr ye khafa hai wo chahti hai palkon pe aasman rakhna kewal faqiron ko hai ye kaamyabi hasil masti se jina aur khush sara jahan rakhna