sanson mein mil gai teri sanson ki bas thi bahki hui nazar thi ki phir bhi udas thi be-shak shikast-e-dil pe wo mabhut rah gaya lekin shikast-e-dil mein bhi zinda ek aas thi gar tu mere hawas pe chhaya hua na tha hasti wo kaun thi jo mere dil ke pas thi barish se aasman ka chehra to dhul gaya dharti ke hont par abhi sadiyon ki pyas thi konpal ne aankh kholi to hairan rah gai hadd-e-nazar talak ye zamin be-libas thi honton pe ek gulab tha taza khila hua aankhon ke aainon mein tamanna udas thi 'anwar'-sadid sochta rahta hun in dinon wo kaun tha ki jis ke liye dil mein pyas thi