tum mere ghar jo shab basar karte raat bhar jashn baam-o-dar karte tum jo aate mere tasawwur mein mere sheron ko mo'atabar karte chha gae hote sari duniya par nek aamal tum agar karte jaan lete tum us ki fitrat ko sath us ke kabhi safar karte tujh ko manzil ka gar pata hota hum tujhe apna rahbar karte multafit kyon hue ho ghairon par tum mere haal par nazar karte hum ko milta 'zaki' agar gustakh zindagi us ki mukhtasar karte