chashm-e-tar raat mujh ko yaad aai apni auqat mujh ko yaad aai nala-e-dil par aah ki main ne baat par baat mujh ko yaad aai abhi bhuli thi dukht-e-raz tauba phir wo bad-zat mujh ko yaad aai zulf mein dekh khal ko us ke shab ki wo ghat mujh ko yaad aai dekh lala ka rang us ki kafak aaj haihat mujh ko yaad aai ji pe jis ke sitam kahin dekha dil ki auqat mujh ko yaad aai dekh rote 'hasan' ko shiddat se par ki barsat mujh ko yaad aai