tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo lag chalna aise deson se dastur mat karo taswe baha ke har ghadi zari nahin hai khub ye raaz-e-ishq hai use mashhur mat karo har-chand dil dukhana kisi ka bura hai par ranjida khatiron ko to ranjur mat karo ai hamdamo jo mujh se hai manzur ikhtilat juz zikr-e-yar tum koi mazkur mat karo raushan rakho jahan mein maula misal-e-mehr chanda ke munh se nur ko tum dur mat karo