lafzon mein un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de nat-e-nabi kahun to madina dikhai de har dam ho jis ko rahmat-e-alam tera khayal tufan mein bhi us ko jazira dikhai de nat-e-nabi ke sath main padhti rahun darud mujh ko yahi najat ka rasta dikhai de de meri aankh ko bhi basarat mere khuda jo shakhs un ka ho wahi un ka dikhai de sari nahin ye husn-e-mohammad ki raushni suraj to un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de dariya pe chal ke jaungi arz-e-hijaz tak mujh ko to paniyon pe bhi rasta dikhai de phir waqt ho gaya hai azan-e-bilal ka sahra-e-zindagi mujhe sona dikhae de sochun tamam din dar-e-aqdas ko main 'qamar' aate hi nind gumbad-e-khazra dikhai de