tum samajh lete gar pareshani hum ko ho jati thodi aasani kaisa mara tha us ne harfon ko lafz bhage utha utha mani aap ki baat ko raqam kar ke hum ne pani pe likh diya pani koi pagal hai aa ke puchhega aap se aap ki pareshani dal do kuchh hawaon ke sar pe itni achchhi nahin hai uryani hum ko aana hai beach mein un ke baat bilkul bigad gai yani meri duniya ko lutne wali aag lag jae tujh ko mar jaani aur kuchh din guzarne de mere dhul chategi teri tabani dhundhti hai nigah bhagdad mein koi surat ho jaani-pahchani jis ko lana hai le ke aa jaana hum khade hain le dushman-e-jaani