tum samajh pate meri tarz-e-bayan aisi na thi

tum samajh pate meri tarz-e-bayan aisi na thi
aur phir dilchasp bhi kuchh dastan aisi na thi

kaisi rut thi sabz ummiden bhi pili pad gain
ab se pahle mere kuche mein khizan aisi na thi

talkhiyan din bhar ki bojhal sham shab ke rat-jage
zindagi mushkil to thi na-mehrban aisi na thi

haal to daryaft kar lete the ab wo bhi nahin
khamushi pahle hamare darmiyan aisi na thi

ab na honton par tabassum hai na naghme hain na sher
ab se pahle mere honton par fughan aisi na thi

chaar-su phaila hai ab to ek bas furqat ka rang
ab talak yak-rang taswir-e-jahan aisi na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close