tum se bhi ab to ja chuka hun main dur-ha-dur aa chuka hun main ye bahut gham ki baat ho shayad ab to gham bhi ganwa chuka hun main is guman-e-guman ke aalam mein aakhirash kya bhula chuka hun main ab babar sher ishtiha hai meri shairon ko to kha chuka hun main main hun meamar par ye batla dun shahr ke shahr dah chuka hun main haal hai ek ajab faraghat ka apna har gham mana chuka hun main log kahte hain main ne jog liya aur dhuni rama chuka hun main nahin imla durust 'ghaalib' ka 'shefta' ko bata chuka hun main