na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai ki mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera rah-e-khwabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-agahi zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera suragh-awara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar hun par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera hawa-e-subh yak-alam gareban chaaki-e-gul hai dahan-e-zakhm paida kar agar khata hai gham mera na ho wahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-satr-e-agahi main gard-e-rah hun be-muddaa hai pech-o-kham mera 'asad' wahshat-parast-e-gosha-e-tanhai-e-dil hai ba-rang-e-mauj-e-mai khamyaza-e-saghar hai ram mera