tum se dekhe na gae hum se dikhae na gae hae wo zakhm jo is dil se chhupae na gae kar liya yun to har ek ranj gawara lekin aaj tak dil se teri yaad ke sae na gae hum ne chaha bhi nahin hum ne bhulaya bhi nahin dil ne chaha bhi magar dil se bhulae na gae rah par rah nikalti gai kuche se tere warna is rah pe hum aap se aae na gae naqsh-e-pa ban ke jahan mit bhi gaya naqsh-e-ummid hum usi rah pe baithe hain uthae na gae