tum se shikwa bhi nahin koi shikayat bhi nahin aur is tark-e-talluq ki wazahat bhi nahin yaad miras hai yaaden hi amanat hain meri wo to mahfuz hain ab un ki inayat bhi nahin jab meri gardish-e-dauran se mulaqat hui hans ke bole tujhe hajat-e-kifayat bhi nahin talkh yaadon ka dafina hai ye masum sa dil talkh yaadon se hamein koi shikayat bhi nahin 'asifa' sirf hai kahne ke liye dil mera ab magar dil pe mere meri hukumat bhi nahin