tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin

tum to kahte the ki jhagde mein hua kuchh bhi nahin
main ne dekha hai ki basti mein raha kuchh bhi nahin

khirman-e-hosh-o-khirad jal gae insanon ke
un ka dawa hai fasadon mein jala kuchh bhi nahin

uf wo haalat se sahmi hui bebas ladki
sar jhukae hue kahti hai luta kuchh bhi nahin

maslahat-koshi ki qainchi jo chali khabron par
shae akhbar hue un mein chhupa kuchh bhi nahin

is liye ho gai zarkhez jaraem ki zamin
mujrimon ke liye duniya mein saza kuchh bhi nahin

jo ye kahte hain ahinsa ki zamin hai bhaarat
un ki aankhon mein to sapnon ke siwa kuchh bhi nahin

ab hasin chehron pe milti hai tasanno ki naqab
ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin

aisa badla hai zamane ka chalan ai hamdam
pyar napaid hua mehr-o-wafa kuchh bhi nahin

jaane kyon tir-e-sitam chalte hain hum par 'bebak'
apna maslak to mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close