shab ko tanhai mein yaaden jo sada deti hain

shab ko tanhai mein yaaden jo sada deti hain
dil ke virane mein ek shahr basa deti hain

shiddat-e-zabt ki lazzat ko ghata deti hain
aankhen nadan hain kyon ashk baha deti hain

khushbu dete hain sabhi dagh purane dil ke
jab ye purwaiyan yaadon ko hawa deti hain

dub jata hai jo sannate mein sara aalam
dil ki bechainiyan tab dad-e-wafa deti hain

jazba-e-shauq ka izhaar na hone pae
dil ki be-tabiyan nazron se gira deti hain

jadugar hain ye nai subh ki ummiden bhi
suni aankhon mein nae dip jala deti hain

karb ehsas ka puchho zara bewaon se
bhuke bachchon ko thapak kar jo sula deti hain

bad-gumani ko jagah dil mein na dena hargiz
ye ghalat-fahmiyan jhagdon ko badha deti hain

ab wahi nazren jo deti thin shuur-e-hasti
hum ko na-karda gunahi ki saza deti hain

jin se baqi rahe rishton ke taqaddus ka bharam
wo talluq ki kharashen bhi maza deti hain

barha un se kiya tark-e-talluq 'bebak'
nind ki wadiyan phir un se mila deti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close