tum to Thukra ke gae dur tumhein kya malum

tum to thukra ke gae dur tumhein kya malum
ho gaya shisha-e-dil chur tumhein kya malum

ashk aa jate hain aankhon mein to kya mera qusur
dard-e-dil karta hai majbur tumhein kya malum

muskurahat hi to hoti nahin ishrat ki dalil
kya tabassum mein hai mastur tumhein kya malum

mujh pe kya kya na zamane ne sitam tod diye
tum to mujh se ho bahut dur tumhein kya malum

tum ko kya tum to ho halqe mein mah-o-anjum ke
zindagi kis ki hai be-nur tumhein kya malum

is ke khandaraat hi tum aa ke zara dekh to lo
shahr-e-dil mera tha mashhur tumhein kya malum

phenkta kaise nahin kaise lagata munh se
jam tha zahr se bharpur tumhein kya malum

tum samajhte ho ki pita hai bahut ab 'tishna'
wo mai-e-gham se hai makhmur tumhein kya malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close