tumhein jo ras na aai jafa to kya hoga tumhein sataegi meri wafa to kya hoga ye mana kar liya tauba to tum ne pine se kahin jo uth gai kali ghata to kya hoga tujhe chaman se bahut pyar hai magar ai dost chaman mein bhi tera dil bhar gaya to kya hoga nafas nafas hai garan ab to zindagi ka aah mujhe jo aur bhi jina pada to kya hoga jise sune hue 'tishna' zamana bit gaya kahin wo saz-e-tarab phir chhida to kya hoga