tum wafa ka ewaz jafa samjhe ai buto tum se bas khuda samjhe pan kha kar jo aae maqtal mein kya shahidon ka khun-baha samjhe sar qalam karne ka tha khat mein jo haal us ka mazmun hum juda samjhe kab wo talwon se aankhen malne de jo ki mizhgan ko khar-e-pa samjhe ho gaya jab qalam hamara sar apni qismat ka tab likha samjhe daude kya ho ke khush su-e-maqtal us ke hum ghar ka rasta samjhe kisi surat se hum ko aane de kash darwaze ka gada samjhe yaad-e-dandan mein jo baha aansu us ko hum durr-e-be-baha samjhe chandni par wo phir rakhe na qadam hum faqiron ka boriya samjhe teri abru ko jo hilal kaha mah-e-nau se bhi kuchh siwa samjhe marun to wo jawab-e-nama likhe khat na aane ka muddaa samjhe hath utha kar laga jo kosne wo wah re hum use dua samjhe jo hai begana aashna hai wo hum jo kahte hain koi kya samjhe hum ko nazron se pisti hain aap chashm-e-bad dur tutiya samjhe jab se us kuche mein qadam rakkha kimiya ko bhi khak-e-pa samjhe tujh ko o naujawan kaha be-misl aaj mani-e-la-fata samjhe hum ne jab dekhi chandni chhitki teri utri hui qaba samjhe kasa-e-mah jab se dekh liya tab se gardun ko hum gada samjhe apne fahmid puchh mat 'goya' kuchh na samjhe ye barha samjhe