yun to kahne ko teri rah ka patthar nikla tu ne thokar jo laga di to mera sar nikla log to ja ke samundar ko jala aae hain main jise phunk kar aaya wo mera ghar nikla ek wo shakhs jo phulon se bhare tha daman har kaf-e-gul mein chhupae hue khanjar nikla yun to ilzam hai tufan pe dubo dene ka tah mein dariya ki magar naw ka langar nikla ghar ke ghar khak hue jal ke nadi sukh gai phir bhi un aankhon mein jhanka to samundar nikla farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka main jise dhundh raha tha mere andar nikla