tumhaara jaana tumhaare jaane pe guzri aahat se baat karna hamein to aadat si ho gai hai ki sarsarahat se baat karna kabhi bhi hum par khula nahin hai ki asl mein us ne kya kaha hai gai hawaon ki tarah kanon mein sansanahat se baat karna agar ho patjhad to mere ye zard hath hathon mein tham lena jo sawanon ki jhadi lagi ho to gungunahat se baat karna wo din kisi ki junun-khezi se haar kar baat man lena kisi ke rangin mutalbe sun ke tamtamahat se baat karna suna hai muddat talak use ye jabin-sitara si yaad aai bahut dinon us ko yaad aaya tha jhilmilahat se baat karna labon ki surkhi bata saki na to kya hua baat ho gai hai kalaiyon ke tamam gajron ka muskurahat se baat karna