rasta sunsan tha to mud ke dekha kyun nahin mujh ko tanha dekh kar us ne pukara kyun nahin dhup ki aaghosh mein leta raha main umr bhar mehrban tha wo to misl-e-abr aaya kyun nahin ek panchhi der tak sahil pe mandlata raha muztarib tha pyas se lekin wo utra kyun nahin qurb ki qaus-e-quzah kamre mein bikhri thi magar raat bhar rang-e-tamanna phir bhi nikhra kyun nahin mujh ko patthar mein badalte chahe khud ban jate wo mom khwahish-e-tifl-e-tamanna ko jagaya kyun nahin us ko tanha pa ke 'aslam' raat apne room mein qatra-e-khun-e-hawas aaankhon mein aaya kyun nahin