tumhaara qurb wajh-e-iztirab-e-dil na ban jae ye mushkil sahl ho kar phir kahin mushkil na ban jae are o tishna-lab ye pyas ye andaz pine ka samundar ghatte ghatte dur tak sahil na ban jae ye mashkuk aadmi lute hain jis ne karwan barson dua mangun kahin ye rahbar-e-manzil na ban jae chala to hun tera bakhsha hua zauq-e-talab le kar khayal is ka rahe ye sai-e-la-hasil na ban jae jise meri mohabbat ne sarapa lutf samjha hai kisi rukh se wahi insan mera qatil na ban jae nazar apni rahe us waqt tak mamnun-e-nazzara dil-e-jalwa-talab jab tak mah-e-kaamil na ban jae kisi ko 'ramz' mazlumi ke is ehsas ne mara wo apnon ki nazar mein rahm ke qabil na ban jae