jab tak tujh ko maut na aae kar le rain-basera baba aati jati is duniya mein kya mera kya tera baba ganw mein sandhya ho ke ye kya hai band hue hain sab darwaze beri jag mein tak mein hai ab ek ek sain lutera baba ek siyasi chaal ki khatir kitna bhayanak qatl hua hai purab pachchhim utar dakhkhin nikla surkh sawera baba bahne wali nadiya ko bhi kab is ka ehsas hua hai kitni kheti nasht hui hai jab is ne rukh phera baba us ke raushan mukhde par ye bikhri bikhri kali zulfen jaise jag ke ujiyaron par chhae ghor andhera baba koi nahin tha isthapit to is mein the sannate gahre mere man mandir mein aa kar kis ne shor bikhera baba din dharam ke pandit mulla achchhe thekedar bane hain chal kar dur kahin basti se dalen apna dera baba chhoti chhoti bundon hi se tal-talaiyan ban jati hain chhote chhote phal wala hi dekha ped ghanera baba rup na tum ne mujh ko dikhaya shams' pe karte dan hi kuchh to barson tumhaari is nagri mein mangta ban kar thera baba