tumhaare aane ka jab jab bhi ehtimam kiya to hasraton ne adab se mujhe salam kiya kahan kahan na nazar ne tumhaari kaam kiya utar ke dil mein umidon ka qatl-e-am kiya ghamon ke daur mein hans kar jo pi gae aansu to aane wali masarrat ne ehtiram kiya ye kis ne chun ke masarrat ke phul daman se ghamon ka bojh meri zindagi ke nam kiya 'mubin' gulshan-e-hasti mein aag bhadki hai junun-e-shauq ne kya khub apna kaam kiya