tumhaare baad raha kya hai dekhne ke liye agarche ek zamana hai dekhne ke liye koi nahin jo wara-e-nazar bhi dekh sake har ek ne use dekha hai dekhne ke liye badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh nazar utha ki ye duniya hai dekhne ke liye zara jo fursat-e-nazzargi mayassar ho to ek pal mein bhi kya kya hai dekhne ke liye guzar raha hai jo chehre pe hath rakkhe hue ye dil usi ko tarasta hai dekhne ke liye nahin hai tab-e-nazzara hi 'aftab' husain wagarna dahr mein kya kya hai dekhne ke liye