khak to hum bhi har ek dasht ki chhane hue hain kuchh naya karne ki koshish mein purane hue hain sabz mausam ka pata jin se mila karta tha tira-bakhton ke wahi shahr thikane hue hain khana-e-dil mein abhi tak hain wahi log aabaad jin ko ojhal hue aankhon se zamane hue hain tir shakhon mein hain paiwast parindon mein nahin kis shikari ke khata itne nishane hue hain aab-o-gil hi ka karishma lab-o-rukhsar bhi hain aisi kya baat hai kyun aap diwane hue hain roz mat mangiye mitti ki mohabbat ka subut hum to ye jism usi khak ka chhane hue hain sher bhi likhta hun aur ghar bhi chalata hun janab kab kisi bojh ke shaki mere shane hue hain