tumhaare bin hamara aashiyan kaisa lagega bina pani ke koi bhi kuan kaisa lagega agar wo chhod de sare guman kaisa lagega zamin ke sath chalta aasman kaisa lagega mukammal karne mein jis ko tumhaara khun laga ho usi taswir se uthta dhuan kaisa lagega akele tum agar aae kabhi in jangalon mein to paoge yahan mere nishan kaisa lagega parindon ne agar puchha udasi ka sabab to sunani hi padegi dastan kaisa lagega ye ghaalib ne to chaha tha magar apni batao jahan koi na ho tum ko wahan kaisa lagega