aadamiyyat ki kami aaj jis insan mein hai wo na hindu mein hai shamil na musalman mein hai zindagani ka umandta hua ye sail-e-rawan jo safina hai talatum mein hai tufan mein hai is zamane ke masail ka sulajhna malum zist uljhi hui khud apne gareban mein hai amn-o-tahzib pe hai maut ka aalam tari dekhiye jis ko wahi jang ke maidan mein hai haram-o-dair ki taswir-e-mujassam hun main kufr ka rang bhi shamil mere iman mein hai is haqiqat ka nahin sare zamane mein jawab jo haqiqat mere afsane ke unwan mein hai jo bhi padhta hai wahi dad-e-sukhan deta hai koi tasir to 'jauhar' tere diwan mein hai