tumhaare chehre ki dilkashi se kali guman ki khili hui hai tumhaari yaadon ki barishon se zamin-e-hijran dhuli hui hai ye jagne ki tumhaari aadat abhi talak hai wo pahle jaisi tumhaare bistar ki ujli chadar bhi silwaton se bhari hui hai jo ho sake to koi nishani bataur tohfa hi bhej dena tumhaari bheji hui wo tie pahan pahan kar phati hui hai bichhadte lamhe chhupa ke sab se jo tum ne bistar pe phenk di thi tumhaari taswir taqche mein abhi talak wo rakhi hui hai tumhaare hote hue bhi dekho main khud ko tanha samajh raha hun mujhe to lagta hai ye judai mere badan se sili hui hai ye mere ahbab puchhte hain batao un ko main kya kahun ab ye kaun ladki tumhaare pahlu mein saj sanwar kar khadi hui hai wo kuchh dinon se kisi ke gham mein udas chehra liye hue hai qasam khuda ki main kya bataun meri to jaan pe bani hui hai ki chhodo 'danish' ki baat chhodo mujhe sunao ki kya likha hai wo khak teri ghazal sunega use to apni padi hui hai