meri hi taswir mein honton par tala khamoshi ka hae musawwir ne khincha hai kya naqsha khamoshi ka hum donon ka ahd hua tha ek zaban hi bolenge tum bolo kya matlab samjhun yak-tarfa khamoshi ka ek chup sau sukh wali mantiq aaj samajh mein aai hai ab logon mein aam karunga ye nuskha khamoshi ka main ne apne waqt ko sahib do hisson mein banta hai aadha mere shor ka hai baqi aadha khamoshi ka ek darwesh se le aaya hun de kar shor ka kath kabad hijr ki lakdi chup ki handi aur chulha khamoshi ka jannat se jo sath mein utri wo bhi ek khamoshi thi so aadam se ja milta hai yun shajara khamoshi ka ab to mere honton ko bhi lafzon ki pahchan nahin us tak jaane kab pahunchega ye charcha khamoshi ka meri aaj zaban-bandi mein tere log hi shamil hain mujh par aise dal na sara tu malba khamoshi ka us ki meri baaton mein bas do hi pahlu hote the kuchh hota tha shor-sharaba kuchh hissa khamoshi ka kab tak mujh se dur rakhega harf-o-saut ka har aahang kab tak mere sath rahega ye sadma khamoshi ka tera kya nuqsan hua hai tu ji bhar ke shor macha mere pas to ek bacha hai wo rasta khamoshi ka main ne khwab mein khamoshi ko shor machate dekha hai 'danish' ab to dena hoga kuchh sadqa khamoshi ka