tumhaare dard ke jaisa nahin hai

tumhaare dard ke jaisa nahin hai
hamare dard ka chehra nahin hai

agarche ishq sa mahnga nahin hai
magar ye hijr bhi sasta nahin hai

hamari aankh se dekho to jaano
mutabiq ishq ke duniya nahin hai

chalo ab dhundha jae phir naya gham
ki kaghaz pe koi misra nahin hai

zara nashtar chubhao zor se phir
ye zakhm-e-dil abhi gahra nahin hai

safai main kahan tak us ko deta
mera ho kar bhi jo mera nahin hai

jabin ke niche jo do sipiyan hain
guhar in mein abhi banta nahin hain

mile to hain bahut mujh ko jahan mein
magar koi mere jaisa nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close